Monday, January 19, 2009

Shehar Nama ( Urdu poem)


Shehar Nama

(poem)


Kisi ka yahan koi chehra nahin hai
Mukhauta agar hai to pehchan hai

Barson se wo ajnabee is shehar mein
Chehre ko le kar pareshan hai.




Ajnabee is shehar mein
(Ghazal)

Lutf pehchan ka bhi to lo ajnabee
Hum se mil mil ke yun na bano ajnabee.

Ajnabeepan hai sheva mere shehar ka
Aa gaye ho to ban kar raho ajnabee.

Zindagi hai ki bastee kisi ghair ki
Tum shanasa sahi phir bhi ho ajnabee.

Hum shanasayion ke bharam men jiye
Khul na paya ke aakhir hain do ajnabee.

Seh na pao ge tanhaiyan bazm ki
Is se behtar hai  Tanha  raho ajnabee.


No comments:

Post a Comment