Ghazal
Muhammad Asadullah
Chale To Rah Mein Chubhne Lage Hain Sannate
Ruke To Shor Sa Andar Sunai Deta Hai
Yeh Kis Ne Rakh Di Hai Daftar Main Ghar Ki Khamoshi
Jo Ghar Mein Aain To Daftar Sunai Deta Hai
Aalag Sa Shor Jo Apny Hi Ghar Mein Sunte Ho
Nikal Ke Dekho To Ghar Ghar Sunai Deta Hai
Vo Kiyon Mujhe Meri Tanhaiyon Mein Milta Hai
Vo Kaun Hai Mujhe Aksar Sunai Deta Hai
Vo Hiddaten Tere Lahje Ki Kya Hooin Aakhir
Tere Labon Se Disambar Sunai Deta Hai
Nagar Yeh Kan Lapete Hai Kaisa Soya Pada
Yeh Kaisa Shor Barabar Sunai Deta Hai
Very Nice
ReplyDelete